Saturday, March 13, 2010

Musafir ...

Saans rukti kahan hai kisis ki khatir
Ye safar to hai bas khudei ke khatir
Lamha lamha zindagi ka, lamha lamha zindagi ka hai haazir
Musafir hai, musafir

Chalte hain woh bhi jo tham jaate hain
Raaston se bhi aagey kadam jaate hain
Koi thehra kahan hai btaa phir
Koi thehra kahan hai btaa phir
Lamha lamha zindagi ka hai aakhir
Musafir hai, musafir

Baarishon ke ye mausam to pal bhar rahe
Khushak aankhon mein bheege se manzar rahe
Ek ehsaas ki ungli ko thaam ke
Tai kar raha hoon main, marhale shaam ke
Marhale shaam ke, marhale shaam ke
Lamha lamha zindagi ka hai aakhir
Musafir hai, musafir

Zindagi ko sabhi kuch kahan hai mila
Saans ka har kadam deta hai ye salaa
Jo na mila woh maujood har pal raha
Waqt mujhme hai tehra main chalta raha
Lamha lamha zindagi ka hai aakhir
Musafir hai, musafir


Song Name: Musafir
Film/Album: Lahore

Related Posts by Categories



Widget by Hoctro | Jack Book

No comments: